koan

Saturday, November 25, 2006

dil se nikal kar

har kasak ka ban tu marham
mast aisa kiya aaj
main to naachi sudh budh khoye apni
bhule lok-janam ki laaj


main naachi aaj
tujh ko paakar
tujhko apne tan-man mein basakar
deewane hai, kahkar hase mujhpar log
hasi main unki deewangee par

pal bhar mein tu aaya itna paas
tu hi tu raha bas
aur to ab na kuch bhi aye raas

tere geet gaaon
teree bawri firun main ghat ghat
tu hi aakar apna le mujhe
tu hi bihah mujhe , tu hi utha ghoonghat

0 Comments:

Post a Comment

<< Home